Dil e weeraan main kya kar rahey ho

Dil e weeraan main kya kar rahey ho
Yahaan toofaan mein kya kar rahey ho

Idhar tahreer mein tashreef laao
Udhar unwaan mein kya kar rahey ho

Agar tum jaantey ho pull banaana
To raigestaan mein kya kar rahey ho

Miyaan dastaar mein gotaa lagaao
Ye dastar khuwaan mein kya kar rahey ho

Tumhein to koi beemaari nahi thi
To qabristaan mein kya kar rahey ho

Utho jaa kar tassawur mein hi baitho
Mere eemaan mein kya kar rahey ho

Poet: Fehmi Badauni

Comments