Chairr kar dastaan mohabbat ki

Chairr kar dastaan mohabbat ki
Day raha hoon azaa'n mohabbat ki

Dard-o-ranj-o-alam samaitay hain
Hum ne kab raayegaan mohabbat ki

Jis se ki saaf aur pakeeza
Misl-e-aab-e-rawaan mohabbat ki

Karobaar-e-hayaat mein sab se
Kaargar hai zubaan mohabbat ki

Apni aghraaz se jurrey hain hum
Hum ne yaaro kahaan mohabbat ki

Hum ne uss jaa nifaq boya hai
Thi zaroorat jahaan mohabbat ki

Keena parwar samaaj mein phir se
Aao kholeen dukaan mohabbat ki

Zindagi asal mein issi ki hai
jis ne Arshad yahaan mohabbat ki

Poet: Arshad Shaheen

Comments