Kiyon giraata hai jaa baja aansoo
Zindagi kya hai maasiwa aansoo
Arsh waala bhi reham khaata hai
Ho agar aankh mein saja aansoo
Aa gayi hai khabar, wo aatay hain
Aur day aur day khuda aansoo
Ye bhi saa'at qabooliyat ki hai
Jab duaaon mein aa gaya aansoo
Meri dariya ne aaj baiyyat ki
Main bahaata tha be'panaah aansoo
Ye khushi k hain ya museebat k
Kar sako ge, juda juda aansoo ?
Teray aanay se peshtar nikla
Dekh kaisa hai baa'wafa aansoo
Poet: Asad Shah
Zindagi kya hai maasiwa aansoo
Arsh waala bhi reham khaata hai
Ho agar aankh mein saja aansoo
Aa gayi hai khabar, wo aatay hain
Aur day aur day khuda aansoo
Ye bhi saa'at qabooliyat ki hai
Jab duaaon mein aa gaya aansoo
Meri dariya ne aaj baiyyat ki
Main bahaata tha be'panaah aansoo
Ye khushi k hain ya museebat k
Kar sako ge, juda juda aansoo ?
Teray aanay se peshtar nikla
Dekh kaisa hai baa'wafa aansoo
Poet: Asad Shah
Comments
Post a Comment