Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jaaye

Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jaaye
Aadmi Kasrat-E-Anwaar Se Hairaan Ho Jaaye.

Tum Jo Chaaho To Mere Dard Ka Darmaan Ho Jaaye.
Warna Mushkil Hai K Mushkil Meri Aasaan Ho Jaaye.

Dene Waale Tujhe Dena Hai To Itna De De.
K Mujhe Shikwa-E-Kotaahi-E-Daaman Ho Jaaye.

Oh Namak-Paash Tujhe Apni Malaahat Ki Qasam.
Baat To Jab Hai K Har Zakhm Namak-Daan Ho Jaaye.

TU Jo Iqraar-E-Haqiqat Kaheen Zaahir Kar De.
Abhi Bedam Rasm-o-Daar Ka Saamaan Ho Jaaye

Comments

  1. Apni Hasti Ka Agar Husn Numayan Ho Jaaye
    Aadmi Kasrat-E-Anwaar Se Hairaan Ho Jaaye.
    plz explain the main theme of these lines.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Admi agar khud ko pehchan ke ,jan le ke wo naib-e maqlooqe kainat ,masjoode malaiq hai to is ki is qadar or yaqeeni kafaiat k bai's khalqe kainat is shukr guzari ke badle main Jo Pinha Raz afsha kre ga ,ibne Adam us se waqai Heran ho jaye ga ke waqai wo roohe rawa hai ...
      (Up to my knowledge).

      Delete

Post a Comment