ab aur daikhta nahi kuch

Gar ho himmat to raasta nahi kuch
Beech mein hai jo faasla, nahi kuch

Yaani bas uss ko daikhta hoon main
Yaani ab aur daikhta nahi kuch

Kaisay dariya thay mere andar bhi
Ab to bas rait k siwa nahi kuch

Kya samjhta hai? tujh se maangon ga
Main khuda se bhi maangta nahi kuch

Aisi khamosh hai fiza saari
Jis tarah shehar mein huwa nahi kuch

Jo muyassar nahi, hai uss ki talab
Jo muyassar hai, wo hawaa nahi kuch

Uth gaya hai sabhi se mera yaqeen
Ab tumhaara bhi aasra nahi kuch

Maslehat ya munaafiqat hai, Hanif
Daikhta hai, ye boltaa nahi kuch

Poet: Muhammad Hanif

Comments