Un Ko Bura Kyun Kahon Jo Mere Dil Ke Kareeb Thay

Un Ko Bura Kyun Kahon Jo Mere Dil Ke Kareeb Thay
Sahi Waqt Pe Zarb Lagate Thay Behad Zaheen Thay

Jab Bhi Kahta Tera Mera Janmo Ka Rishta Hai
Us Ke Monh Say Lafz Sirf Aameen Thay

Laash To Pata Nahin Kis Mazloom Ki Thi
Magar Qatil Ke Paon Ke Nishan Buhat Haseen Thay

Dar Badar Phirta Hon Galiyon Mein Aawara
Kabhi Hum Bhi Us ki Zulfon Ke Tale Makeen Thay

Usay Bewafa Keh Bhi Nahin Saktay Bhula Bhi Nahin Saktay
Kabhi Wo Bhi Hamare Dil Nasheen Thay

UMAR Bhar Hamari Ulfat Ko Thukra Diya Us Ne
Jab Huwa Ehsaas Tab Hum Tah E Zameen Thay

Comments