Udas raaton mai tez coffee ki talkhiyOn mai

Udas raaton mai tez coffee ki talkhiyOn mai
wO kuch ziyada hi yad ata hay sardiyon mai

mujhe ijazat nahi hay usko pukarne ki
jo gonjta hay Lahu mai seene ki dharkano mai

wo bachpana jo udas raho me kho gaya tha
mai dhundta hun usay tumhari shararton mai

jo tu nahi hay to ye mukammaL na ho saken gi
teri yahi ehmiyat hay meri kahaniyOn me

mujhe yaqin hay wo tham Lega bharam rakhay ga
ye maan hay to diye jaLay hen andhiyon mai

har ek mosam me roshni si bakhertay hen
tumharay gham ke charagh meri udasiyon Mai

Comments