Misaal jis ki na thi bemisaal jesa tha
Bichar ke aise gaya bas khayal jesa tha
Tamam umer jise main samajh nahi paya
Wo shakhs mere liye us sawal jesa tha
Teri jafa ki shikayat labo pe kya laate
Tera salook zamane ki chaal jesa tha
Tere firaq me guzri hay zindagi aise
Gham-e-firaq me lamha bhi saal jesa tha
Tere khayal me rehne lage magan itne
Tera khayal bhi tere wesal jesa tha
Na dil ko chain na ankhon me hain neenden
Tumhara haal bhi kya mere haal jesa tha
Bichar ke aise gaya bas khayal jesa tha
Tamam umer jise main samajh nahi paya
Wo shakhs mere liye us sawal jesa tha
Teri jafa ki shikayat labo pe kya laate
Tera salook zamane ki chaal jesa tha
Tere firaq me guzri hay zindagi aise
Gham-e-firaq me lamha bhi saal jesa tha
Tere khayal me rehne lage magan itne
Tera khayal bhi tere wesal jesa tha
Na dil ko chain na ankhon me hain neenden
Tumhara haal bhi kya mere haal jesa tha
Comments
Post a Comment