Mile Gham Say Apnay Fursat To Sunaaoun Wo Fasaanaa

Mile Gham Say Apnay Fursat To Sunaaoun Wo Fasaanaa
Ke Tapak Parray Nazar Say May-E-Ishrat-E-Shabaanaa

Yahi Zindagi Museebat Yahi Zindagi Musarrat
Yahi Zindagi Haqeeqat Yahi Zindagi Fasaanaa

Kabhi Dard Ki Tamanna Kabhi Koshish-E-Madaavaa
Kabhi Bijaliyoon Ki Khawahish Kabhi Fiqr-E-Aashiyaanaa

Mairy Qahaqon Ki Zad Par Kabhi Gardishein Jahaan Ki
Mairy Aansoo Ki Rau Mein Kabhi Talkhi-E-Zamaanaa

Kabhi Main Hoon Tujh Sy Naalaa Kabhi Mujh Sy To Pareshaan
Kabhi Main Taira Hadaf Hoon
Kabhi Too Maira Nishaanaa

Jisy Paa Sakaa Na Zaahid Jisy Chhoo Sakaa Na Sufi
Wahi Teer Chhairrta Hai Mairaa Soz-E-Shayaraana

Comments