Kabhi jo chher gayi yaad-e-raftagaan MOHSIN

Kabhi jo chher gayi yaad-e-raftagaan MOHSIN
Bikhar gayi hain nigaahen kahan kahan MOHSIN

Hawa ne raakh uraayi to dil ko yaad aaya
K jal bujhin mere khwaabon ki bastiyaan MOHSIN

Kuch aise ghar bhi mile jin me ghoongaton k ewazz 
Hui hain dafan dopatton me ladkiyaan MOHSIN

Khandhar hai ahd-e-guzishta na chhoo na chher ise 
Khulen to band na hon iskii khidkiyaan MOHSIN 

Bujha hai kon sitaara k apni aankh k sath
Hue hain saare manaazir dhuaan dhuaan MOHSIN

Mila to or bhi taqseem kar gaya mujh ko
Sametni theen jise meri kirchiyaan MOHSIN

Kahin se usne bhi tora hai khud se rabt-e-wafa...  
Kahin se bhool gya main bhi daastaan MOHSIN

Comments