Jis Ghar Main Chand Numudar Howa Karta Hay

Jis Ghar Main Chand Numudar Howa Karta Hay
Kiya Tujhay Aey Dil-E-Bimaar Howa Karta Hay

Loog Waisey Hi Baatain Nahi Banaaya Kartey.
Kuch naa kuch tu Pas-E-Diwar Hua Karta Hay.

Haath Apnon Ka Huwa Karta Hay Aksar Shamil
Pusht say jub kabhi koyi waar howa Karta Hay.

Ummar Kaa Aakhri Hissa Hou Kisi Manzzil Par.
Mawt Say Barsar-E-Pekaar Huwaa Kartaa Hay.

Jiss Ko Mein hijar say Teshiad Diya Karta Hoon.
Jaan Le-waa Wohi Aazzaar Huwaa kartaa Hay.

Har Kissi Cheez Ki Keemat Hay Yaqeenan Koi.
Har Zaroorat Kaa kharidaar huwaa kartaa Hay.

Faislaa Qat-ta'a Talooq Kaa Karo Yaa Na Karo.
Piyaar Tu Bas Ik Baar Huwa Karta Hay
Jis Ghar Mein Chand Numudar Howa Karta Hay
Kiya Tujhay Aey Dil-E-Bimaar Howa Karta Hay

Comments