Jang Thehri thi Meri Gardish-e-Taqdeer ke Sath

Jang Thehri thi Meri Gardish-e-Taqdeer ke Sath
Main Qafas Main Bhi Ulajhta Raha Zanjeer Ke Sath

Agar is Khawab ki Tabeer Judai Hai To Phir
Hum to Mer Jaein Gay Is Khawab ki Tabeer Ke Sath

Rooh Abad karo Gay To Badan Ujrrey Ga
Ek Kharabi Bhi Janam Leti Hai Tameer Ke Sath

Dil Ke Zakhmon Say Ulajhtay Hein Bhatak Jatay Hein
Lafz Dhaltay Hein Mere Shayer Mein Taakheer Ke Sath

Aankhain Ab Ke Bhi Barasta Hua Badal Thehreen
Chaand Ab ke Bhi Nazar Aaya Hai Takheer Ke Sath

Hum Jo Nauwarid-e- Aqleem-e-Sukhan Hein Mohsin
Kabhi Ghalib Ke Muqallid To Kabhi Meer Ke Sath

Comments