Inhein atraaf mein khush rang sitaara kaheen hai

Inhein atraaf mein khush rang sitaara kaheen hai
Qariya-e-jaan mein hi wo anjuman aara kaheen hai

Issi baes to palat aayi mere dil ki sadaa
Us ko dekha tha kaheen main ne pukaara kaheen hai

Mujh ko deta hi nahi hai wo kabhi mera patta
Ungliyaan aur kisi simt ishaara kaheen hai

Band aankhon mein chamak jaata hai jugnoo ki tarah
Khirman-e-jaa'n mein hi roo'posh sharaara kaheen hai

Thokarein khaa k chale aate hain phir teray huzoor
Hum se aashufta saron ka bhi guzaara kaheen hai

Rait hi rait hai bhikri huwi har simt yahaan
Na wo moujein, na samandar ka kinaara kaheen hai

Aao, ab apni taraf lout chalein hum, Akhtar !
Shehar mein koi hamaara, na tumhaara kaheen hai

Poet; Sultan Akhtar

Comments