How Became Choto Gang In Terrorist Activities

Choto Daako Ka Asal Naam Ghulam Rasool Hai Jo Rajanpur Ka Rehne Wala Hai Iski Umer 80 Ke Lagbag Hai. 100 Ke Kareeb Karindo Pe Mushtamil Ye Gang Kayi Arsay Se Sindh Aur Punjab Ke Border Area Rajanpur (Rojhan) Ke Basyun Keliye Wabal e Jan Bana Howa Hai. Zindagi Guzarne Keliye Choto Ne Bhi Aam Logon Ki Tarah Mehnat Shoro Ki. Jo Is khitte Ki Riwayat Ke Aen Mutabiq Tha. Lehaza Isi Maqsad Keliye Rojhan Ke Elake Mai Chhapra Naami Hotel Mai As a Waiter Mulazmat Shoro Ki Lekin Muashere ki Na Insafi Or Zalim Samaaj Ne Usko Juraim Ki Dunya Mai Dhakel Diya Jald Hi Usne Is Nayi Dunya Mai Bohat Nam Kama liya Or Hukamti Ohday Daaron Or Elake Ke Waderon Ka Dastak e shafqat usko hasil howa siyasi shafqat or waderon ke rehm o karam se choto na sirf apne elake tak mehdod raha. Balke rajanpur se milo dor rahim yar khan tak wardadain karne laga. Or phir achanak police ke hathon eske bhai ka murder howa. Es hadse ke bad choto ne maqsad hayat hi badal diya. Or intekam ki thaan li. Or phir daaku baghawat pe utar aya. Or riyasat ko challenge karne laga. Aage barhta howa choto balochistan ke baghiyun ko bhi bharti karne laga. Or mulk dushman ki khofiya agency RAW se bhi funding lene laga or apne hi pyare mulk ki jarray khokhli karne laga police ne iske khilaf kafi operation kiye par kamyab na hosake akhir kaar world number 1 pak army ne is operation ko handle kiya or behtreen karkardegi dikhayi or choto gand ke khatme ka intezam karliya

Comments