Ghaira hay is tarah mujhe wehshat ke jaal ne

Ghaira hay is tarah mujhe wehshat ke jaal ne
Sab khwab mere doob gaye is malaal mein

Mujh se nazer chura ke guzarne lagi hawa
Ane lagi jo hijar ki khushbo wisaal mein

Hon saat e azaab mein kyun main abhi talak
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein

Bechainiaan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein

Main sun rahi hon phir se judayi ki aahatain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein

Qismat se raah mein jo jazeere humain mile
Tere guman mein thai na mere khayal mai

Comments