Urdu poetry, Ghazal, Shayari,Sad Poetry And Funny Jokes

Labels

Monday, 25 April 2016

Ban jata hai wo zeest ka Maiyaar pari zaad

Ban jata hai wo zeest ka Maiyaar pari zaad
Lagta hai jisay ishq ka azaar pari zaad

Manzar nazar aaye mujhe ik jaisa shafaq roo
Is aar pari zaad hai us paar pari zaad

Aasaab pay chhaya huwa tujh yaad ka mela
Karne laga mujh dasht ko gulzaar pari zaad

Hai itna haseen baagh mein tujh deed ka manzar
Dekha kiya main tujh ko lagataar pari zaad

Mujh dil ko kahan bhaata hai ab teray siwa aur
Kya dekhon ghazalaan-e-tarahdaar pari zaad

No comments:

Post a Comment