Aata Hai Har Charrhayi Ke Baad Ik Utaar Bhi

Aata Hai Har Charrhayi Ke Baad Ik Utaar Bhi
Pasti Se Hum-Kinaar Milaye Kohsaar Bhi

Dil Kyun Dharrakne Lagta Hai Ubhrey Jo Koi Chaap
Ab To Nahi Kisi Ka Mujhe Intizaar Bhi

Jab Bhi Sakoot-e-Shaam Mein Aaya Tera Khayaal
Kuch Dair Ko Thehar Sa Gaya Aabshaar Bhi

Kuch Ho Gaya Hai Dhoop Se Khakastari Badan
Kuch Jam Gaya Hai Mujh Par Raah Ka Ghubaar Bhi

Iss Faaslon Ke Dasht Mein Rehbar Wohi Baney
Jis Ki Nigaah Daikh Le Sadiyon K Paar Bhi

Ay Dost Pehley Qurb Ka Nasha Ajeeb Tha
Mein Sun Saka Na Apne Badan Ki Pukaar Bhi

Rasta Bhi Wapsi Ka Kahin Bun Mein Kho Gaya
Ojhal Huwi Nigaah Se Hirnon Ki Daar Bhi

Kuch Aqal Bhi Hai Baais-e-Toqeer Ay Shakeeb
Kuch Agaey Hein Baalo'n Mein Chaandi Ka Taar Bhi

Comments