Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi Zulm Dhaaye Bohat

Wahan Ki Roshniyon Ne Bhi Zulm Dhaaye Bohat
Mein Us Gali Mein Akela Tha Aur Saaye Bohat

Kisi Ke Sar Pe Kabhi Toot Kar Gira Hi Nahi
Us Aasman Ne Hawa Mein Qadam Jamaaye Bohat

Na Jaaney Rut Ka Tasarruf Tha Ya Nazar Ka Faraib
Kali Wahi Thi Magar Rung Jhilmilaye Bohat

Hawa Ka Rukh He Achanak Badal Gaya Warna
Mehak Ke Qafley Sehra Ki Simat Aaye Bohat

Ye Kainaat Hai Meri Hi Khaak Ka Zaraa
Mein Apne Dasht Se Guzra To Bhaid Paaye Bohat

Jo Motiyon Ki Talab Ne Bohat Udaas Kiya
To Hum Bhi Raah Se Kankar Samait Laaye Bohat

Bus Aik Raat Theharna Hai Kiya Gila Kijiye
Musafiron Ko Ganimat Hai Ye Saraye Bohat

Jami Rahey Gi Nigahon Pe Tairgi Din Bhar
Ke Raat Khuwaab Mein Taray Utar Ke Aaaye Bohat

Shakeeb Kesi Urraan Ab Wo Par Hi Toot Gaye
Ke Zair-e-Daam Jab Aaey Thay Pharr Pharraey Bohat

Comments