Umar Bhar jin ko Kabhi Pyar na karna Aaya

Umar Bhar jin ko Kabhi Pyar na karna Aaya
Aaj wo log hamay Dars e Wafa Dete hain

Hum ne seekha nahi pyar mein ruswa hona
Dil To kia cheez hai hum jan luta dete hain

Kitna khush rang tha wo pyar ka mosam jana
Yad aate hain wo lamhay to rula dete hain

Us ke aanay ki Mujhay jhoti Tasali Mat Do
Ye Dilasay To Mera Dard Barha Detay Hain

Comments