main baghi hoon main baghi hoon jo chahe mujh pe zulm karo

Main Baghi Hoon
is daur k rasm riwajon se
in takhton se inn tajon se
jo zulm ki kokh se jante hain
insani khoon se palte hain
jo nafrat ki bunyadain hain
aur khooni khet ki khadein hain

main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

wo jin k hont ki jambish se
wo jin ki aankh ki larzish se
qanoon badalte rehte hain
aur mujhrim palte rehte hain
in choroon k sardaron se
insaaf k pahre daron se

main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

mazhab k jo byopari hain
wo sab se bari bemari hain
wo jin k siwa sab kafir hain
jo deen ka harf e akhir hain
in jhute aur makkaron se
mazhab k thekedaron se

main baghi hoon main baghi hoon
jo chahe mujh pe zulm karo

mere hath main haq ka jhanda hai
mere sir pe zulm ka phanda hai
main marne se kab darta hoon
main moat ki khatir zinda hoon

Poet Habib Jalib

Comments