Jis Shab Wo Shokh Gul Mera Mehmaan Ban Gaya

Jis Shab Wo Shokh Gul Mera Mehmaan Ban Gaya
Main Khud Ghareeb Khanay Ka Darbaan Ban Gaya

Sanjeedgi Ki Chehray Pe Chaadar To Taan Li
Par Dil Hi Dil Mein Aakhri Shaitaan Ban Gaya

Meri Shareer Nazron Ki Parvaaz Thi Buland
Dekha Jo Us Ne Ghoor K Insaan Ban Gaya

Choome Huwe Kali Jo Ussay Choomnay Ko Di
Sharam o Hayaa Ka Rukh Pe Gulistaan Ban Gaya

Shokhi Se Bolay Likho Ghazal Haath Choom Kar
Par Likhtay Likhtay Hussn Ka Deewaan Ban Gaya

Sajdaa Kara K Mujh Se Parrhi Khud NaMaaZ-e-Shukar
Kaafir Bana K Mujh Ko Musalmaan Ban Gaya

Ik Meh-Jabeen K Paaon Pe Ba'iyat Ka Hai Asar
Ye Hain Wo Apni Sharaaratein Mera Qalam Hussn Ki Muskaan Ban Gaya

Us Apsara Ne Junhi Khareedi Meri Kitaab
Shahzad Qais Zouq Ki Pehchaan Ban Gaya

Poet Shahzad Qais

Comments