Dard e dil yonhi har aik pe afshan na karo

Dard e dil yonhi har aik pe afshan na karo
Tum milo sab se magar sab pe bharosa na karo

Na umeedi k siwa kuch na mile ga tum ko
Kaghzi phool se khushbu ki tamana na karo

Matlabi dost tamasha bhi bana lete hain
Haal e Dil apna har kisi ko sunaya na karo

Hum na hon gay to kon manaye ga tumhein
Ye ghalt bat hay har bat pe rootha na karo

Kia khabar hai ke judayi ho moqaddar mera
Dil ke gehrayi se kisi ko chaha na karo

Comments