Ziya e rang se bhi kuch to dosti karo yar

Ziya e rang se bhi kuch to dosti karo yar
Bohat andhera hai kamre men roshni karo yar

Main is malal ki lazat se khud bhi waqif hon
Dil e fasurda jo kehta hai tum wohi karo yar

Yahan faraghten baar e giran hain rishton par
Qurabaton ka taqaza hai nokari karo yar

Bharm nigah men rakho Waqar e qamat ka
Barra hai zarf to phir baat bhi barri karo yar

Chehkti shab mein khmoshi udas jangal hai
Labon k phool mehkne do baat b karo yar

Nigeh men bikhare parre hain khayal e shokh ada
Hazar rang hain utho musawari karo yar

Jahan balaye fana ghaat men kharri hai wahan
Ye 4 saansen ghanemat hain zindagi karo yar

Comments