Ye Gardish e Ohaam Hai Ya Hai Waqt Ka Dhara

Ye Gardish e Ohaam Hai Ya Hai Waqt Ka Dhara
Shaayad Mujhe Beetaye Huwe Lamhon Ne Pukara

Main Agarchey Bhare Shehar Mein Yaka o Tanha Hoon
Par Mujh Ko Nahi Sohbat e Na Jins Gawara

Main Aaj Bhi Tarike e Mahool Mein Gum Hoon
Roshan Hai Magar Mere Muqadar Ka Sitara

Wo Chashm e Tamasha To Shab o Roz Hai Lekin
Wo Zarf e Nazar Hai Na Taufeeq e Nazara

Tadbeer Ka Har JaaL Tha Aghiyaar Ke Baas Mein
Taqdeer Ka Chakar Tha Ke Main Jeet Ke Haara

Ya Nala e Jaan Soz Hai Ya Aah Shararr Baar
Karta Hoon Inhin Garm Hawaon Mein GuzAra

Har Simt Hi Phir Tund HawaOn Ka Tha Parey
Manjdhar Mein Hai Kashti e DIL Door Kinaara

Gul Log Jisaye Kehtey Hain Hai Gohaar e Nayaab
Ya Charkh e Haraam Ka Damakta Huwa Taraa

Comments