Tum Kahan Thehar Gaye Janaa

Tum Kahan Thehar Gaye Janaa
Abhi to Aaghaz e safar tha
Abhi to Bahaar ka pehLa GuLaab khiLa tha
Abhi to saawan ki pehLi Boond barsi thi
Abhi to diyyon mein roshni baQi thi

Abhi to khawab paLkon pey thehre thay
Abhi to neendain kachi theen
Abhi to Ehad o pemaan hone baQi thay

Abhi to roothna manana baQi tha
Abhi to Dharrkanain Be tarteeb theen

Tum kahan thehar gaye Janaa
Tum kya thehre Thehar gaye waQt k sub Lamhat Janaa

Thehar gaye mery Aansu Aankhon mein
Thehar gaye raaton ke awara taare
Thehar gaye sub Behr o bar
Par janaa
Tum kahan thehar gaye

Comments