Tere khayaL Tere khawab Or teri mohabbat

Tere khayaL Tere khawab Or teri mohabbat
Zuban pe GhazaL Hathon main kitab Or teri mohabbat

Gumnaam aLfaz TaLkh sawaLaat Benaam tehreerain Adhoore jawabaat
Or teri mohabbat

Thandi sehar sard Hawayen Urrtay BadaL taiz Ghatayen
Or teri mohabbat

HaLki dhoop suhana mosam Bheegay pairr shaffaaf Aasman
Or teri mohabbat

Teri Baatain tanha Raatain Kabhi Hijar kabhi MuLaQatain
Or teri mohabbat

Dar o Baam DhaLti sham Kitab QaLam tera naam
Or teri mohabbat

PhooL TitLi Baagh o Bahaar Gaata darya jhoomti Lehrain
Or teri mohabbat

Chamakta chand jagmag taare Awaara jugnu Bheegi shabnam
Or teri mohabbat

JaLtay charagh urrta Dhuwaan Tera intazaar wasL ka samaan
Or teri mohabbat

Chhupta suraj haLki barsaat Dhanak ke rang, tera saath
Or teri mohabbat

Sarhaanay takiya bikhra bistar Bechain karwatain Raat ka pehar
Or teri mohabbat

Comments