Suna hai wo shehar mein aya hai

Suna hai wo shehar mein aya hai
Suna hai wo saath wafa Laya hai
Suna hai wo phooL sang apny chund Murjhaye Laya hai
Suna hai wo askh bhari Muskurahaten bhi Laya hai

Uss sy kaho Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi BeQarar nahi
Yahan koi sogawar nahi
Uss sy kaho Loat jaye
K Yeh shehar e khamoshaan hai
Yahan sub Baasi khamosh hain
Yahan koi Dard nahi koi chubhan nahi

Yahan bus meethi neend soty hain Tere chahne waLe
Ab nahi Rotay hain

Comments