Mohabbat kaise Mar jaye Badan main jo khoon ki manind

Mohabbat kaise Mar jaye
Badan main jo khoon ki manind
Jo hai aik janoon ki manind
subha aur sham ke har paL main
Jo hai aik sakoon ki manind

Mohabbat kaisay mar jaye
Woh rehti hai dua ban kar
Woh chaLti hai hawa ban kar
Woh sumandar ke taLatum main
MachaLti hai wafa ban kar

Mohabat kaisay mar jaye
Woh sanson ke sath chaLti hai
Rang ban kar nikharti hai
Ghata ban k woh chha jaye
Woh khushboo ban k mehakti hai

Mohabat kaisy mar jaye
Woh ebadat mere rab say hai
Tahajjud k sare sajdon main
Woh rafaQat har aik shab say hai
Woh Labon pe vird karti hai
Mohabbat kaisay mar jaye
Mohabbat mar nahi sakti

Comments