Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho

Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho
Tu Meri TaLkhiyon Ka Sabab To Nahi

Teri Aankhen To Meri Hi Dam Saaz Hain
Theen Kabhi Ajnabi Lekin Ab To Nahi

Tujh Ko Meri Musarrat MuQaddam Sahi
Tera Gham Mujh Ko Wajah e Tarab To Nahi

Tera Ahsaan Hai Tu Ne Mere Liye
Apni PaLkon Se Raahon K Kaante Chunne

Khud Karri Dhoop Mein Reh Ke Mere Liye
Tu Ne ZuLfon K Shadaab Saaye Bunney

Meri Khatir Zamaane Ko PagaL Kaha
Meri Khatir Zamaane K Taane Sunnay

Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan e Mann
Ab Wo IshQ O Mohabbat Ki Rasmein Nahi

Mere DiL Mein Kayi Ghao Aise Bhi Hain
Jin Ka Darmaan Teri Dastaras Mein Nahi

Ek Gham Jis Ki Shiddat HamaGeer Hai
Tere Bas Mein Nahi Mere Bas Mein Nahi

Comments