Mataa e aab roo rakhi huwi hai

Mataa e aab roo rakhi huwi hai
Tamanna bawuzu rakhi huwi hai

Samaat mein meri ab tak kisi ki
Sadaae khush gulu rakhi huwi hai

Jahan par walwalay thay ab wahan par
Kamand e aarzoo rakhi huwi hai

Jahan par jaam sajtay thay sar e shab
Tammanaay subu rakhi huwi hai

Mata e zar nahi khatay main lekin
Mata e aarzoo rakhi huwi hai

Sarahnay khamshi ke aaj bhi to
Tumhaari guftagu rakhi huwi hai

Yahan ik azm raddi mein parra hai
Wahan ik justujoo rakhi huwi hai

Ajab ik be yaqeeni ki fiza bhi
Hamaray chaar so rakhi huwi hai

Wahan hai maiz par guldaan jis mein
Wo yaad e mushkboo rakhi huwi hai

Wo jo tasveer thi dil mein tumhaari
Abhi tak hu ba hoo rakhi huwi hai

Wohi lehja madhur geeton k jaisa
Wohi narmi ki khoo rakhi huwi hai

Zubaan par hoo ka naara aur dil mein
Faqat ik haaoho rakhi huwi hai

Mohabbat ka jahan darya tha pehlay
Zara si aab joo rakhi huwi hai

Ajab ik khamshi waqfay ki soorat
Mayaan e guftagu rakhi huwi hai

Poet: Majeed Akhtar

Comments