Jab door wo mujh se rehta hai

Jab door wo mujh se rehta hai
To ek shakhs yeh mujh se kehta hai
Kuch din kaise guzaro gay
jo soorat na uski daikhi to

To Main bus itna kehta hon
Ke Jiska chehra rawaan hai Aankhon mein
jiski khushboo basi hai sanson mein
Jiska aks hai mere khawabon mein
Jiski soorat hai sab kitabon mein

Bin uske jeena marna kaisa
FurQat se uski darna kaisa
FurQat se uski darna kaisa

Comments