Aise toota hai tamannaon ka Pindaar ke bus

Aise toota hai tamannaon ka Pindaar ke bus
Dil ne jhelay hain mohabat mai wo Aazaar ke bus

Ik Jonkay mai Zamane mere hathon se gaye
Is qadar taiz hoi waqt ki raftar ke bus

Tu kabi rakh ke hamain dekh to Baazar ke beech
Is tarha toot ke aein gay kharidar ke bus

Kal bhi Sadiyon ki Musafat se paray thay dono
Darmiyan aaj bhi parti hay wo deewar ke bus

Ye to ik Zid hay ke MOHSIN main Shikayat na karun
Warna shikway to hain itne mere yar ke bus

Comments