Qadam qadam par muhabbaten hon khuda kare ab wo saal aaye

Qadam qadam par muhabbaten hon khuda kare ab wo saal aaye
Meri tamanna k gulisitaan mein bahaar aaye jamaal aaye

Meri dua hai ke subh e nau ki parre jo pehli kiran zameen par
To saal e nau ki naveed le kar haseen subh e wisaal aaye

Mere khayaalon ki kehkashan k har aik taaray mein jis k jalwey
Kabhi to us k bhi dil mein meri mohabbaton ka khayaal aaye

Tamam taaron mein chaand jaisay sabhi gulon mein ghulaab jaisay
Mohabbaton ki riwayaaton mein hamaari aisay misaal aaye

Tumhari yaadon mein aur khuwaabon mein Ward khiltay rahen hamesha
Tumahray nazdeek jaan e janaan na zindagi bhar malaal aaye

Comments