Os parri thi raat bohat Or kohra tha garmaaish par

Os parri thi raat bohat Or kohra tha garmaaish par
saiLi si khamoshi mein aawaaz suni farmaaish par

FaasLe hain bhi or nahi bhi Naapa ToLa kuch bhi nahi
Log Ba zidd rehte hain phir bhi Rishton ki paimaaish par

Munh morra or Dekha kitni door kharre thay hum Donon
Aap Larre thay hum se bas ek karwat ki gunjaaish par

Kaaghaz ka ek chaand Laga kar raat andheri khirrki par
DiL main kitne khush thay apni fursat ki Aaaraish par

DiL ka Hujra kitni baar ujrraa bhi aur basaaya bhi
saari umar kahan thehra hai koi ek rihaaish par

Dhoop aur chhaon baant k tum ney aangan mein Deewaar chuni
kya itna aasaan hai zinda rehna iss Aasaaish par

Shayad teen najoomi meri moat pey aa kar poochhen gey
aisa hi ek baar Huwa tha Eesaa ki paidaaish par

Comments