Ek chaand darmiyan naye saal mein rahay

Ek chaand darmiyan naye saal mein rahay
Roshan har ek makaan naye saal mein rahay

Sar'sabz is zamee pay rahen ge shajar agar
Kuch naram aasman naye saal mein rahay

Jaari ameer e shehar ka farmaan phir howa
Khaamosh har zabaan naye saal mein rahay

Hum jaisay ghamzadon k behlnay k wastay
Taaza koi bayaan naye saal mein rahay

Darya k baad koh e giraan aa gaya to kya
Ek aur imtehaan naye saal mein rahay

Insaaf ho raha hai na ho paye ga magar
Honay ka ek gumaan naye saal mein rahay

Imkaan to nahi hai magar kaash ho sakay
Zaalim na hukmraan naye saal mein rahay

Hum tairaanay khaak pay gurdon bhi dang ho
Aisi koi urraan naye saal mein rahay

Sehraye zindagi ki karri dhoop mein Salim
Yaadon ka saibaan naye saal mein rahay
Poet: Salim Sarfaraz

Comments