Dard Runj o alam Ke Palne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Dard Runj o alam Ke Palne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai
Haawa e sard Ke Chalne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Zaat e zindaan Main Rahe Kar Shair takhleeq Nahi Hota
Hasaar e zaat Se Nikalne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Harf Bhi Sath Dete Hein Aksar Dhiyaan Mein Rahe
Suchi Baat K Ogalne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Zakhm e zamana Nitt Naye Andaaz Main Aan Milta Hai
Ansowon Ke Machalne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Guldan e kagaz Par Rakh Deta Hon Harfoon Ko
Band Nafe Qalam ke Khulne Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Ghazl Younhi Ilham Ki Sorat Nhi Otarti ArYaaN
Dard Nuss Nuss Main Gullny Par Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Comments