Ay Husan e Lala Faam Zara Aankh Tou Mila

Ay Husan e Lala Faam Zara Aankh Tou Mila
Khaali Paday Hain Jaam Zara Aankh Tou Mila

Kehte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi
Dunya K Chorr Kaam Zara Aankh Tou Mila

Kia Woh Naa Aaj Aaengay Taaron K Sath Sath
Tanhaieyon Ki Shaam Zara Aankh Tou Mila

Saqi Mujhe Bhi Chaheye ik jaam e Aarzoo
Kitney Lagein Gay Daam Zara Aankh Tou Mila

Yeh Jaam Yeh Sabu Yeh Tasawwur Ki Chaandni
Saaqi Kahan Madaam Zara Aankh Tou Mila

Ajaega Yaqeen e Khuda Sab Ko Yak Ba Yak
Lay K Khuda Ka Naam Zara Aankh Tou Mila

Pamaal Ho Na Jey Sitaron Ki Aabroo
Ay Mere Khush Kharaam Zara Aankh Tou Mila

Hain Raah e Kehkashaan Mein Azal Se Kharray
Huey Sagar Teray Ghulaam Zara Aankh Tou Mila

Comments