Wada e hoor pe behlaye howe Log hain hum

Wada e hoor pe behlaye howe Log hain hum
Khak Bolen ge ke dafnaye howe log hain hum

Youn Har ik Zulm pe Dam saadhay khare hain
Jese deewar main chunwaye howe log hain hum

Us ki har baat pe LABBAIK kyun na kaheen
Zar ki zangeeron pe bulwaye howe log hain hum

Jis ka jee chahay wo ungli pe nachaa leta hai
Jaise bazar se mangwaye howe log hain hum

Hansi aye ge bhi to hanste howe darr lagta hai
Zindagi youn teray Zakhmaye howe log hain hum

Asmaan apna Zameen apni Na sans apni to phir
Janay kiss baat pe itraye howe log hain hum

Jis tarhan chahe bana lay humain ay wakt
Dard ki Anch par pighlaye howe log hain hum

Comments