Umer e Rawaan Khizaan ki Hawa se bhi Taiz thi

Umer e Rawaan Khizaan ki Hawa se bhi Taiz thi
Har Lamha Barg e Zard ki Soorat Bikhar Gaya

Dil mai Cheekhte Cheekhte Wehamon k Bojh Se
Wo khauf tha ke Raat ko Sote mai Dar Gaya

Jo Baat Moatbar thi Wo Sar se Guzar gayi
Jo Harf Sarsari tha Wo Dil me Utar gaya

Hum Aks e khoon e Dil hi Lutate Phire Magar
Wo Shakhs Aansuon ki Dhanak mai Nikhar gaya

Ye Rang o Roop Ye Ronaq Baja hai Magar
Mai Zinda kiya rahon ke Mera Jee to Bhar gaya

Comments