Tu mussavir tha wo tasveer banayi hoti

Tu mussavir tha wo tasveer banayi hoti
Shola e rang se Aage bhi rassaai hoti

Piyar ki baat agar lab pe na Aayi hoti
Hum kahaan aur kahaan jalwa numaai hoti

Jis kahaani k liye jaagte Guzreen raatein
Wo kahaani bhi kabhi hum ko sunayi hoti

Kiya khabar tujh ko mere shauq ki shiddat kiya hai
Kaash Tu ne meri dharkan bhi churaai hoti

Qatra qatra teri yaadon se tapakti shabnam
Youn bhi hota ke mujhe neend na Aayi hoti

Main wahaan maahi e be aab ki soorat hota
Koi rimjhim teri Aankhon ne rachayi hoti

Koi jazba mere seenay mein dhamakta rehta
Koi khuwaahish tere hoonton mein samayi hoti

Phail jaata kisi Gulzaar mein maanind e naseem
Koi khushboo teri zulfon se urraai hoti

Khaar phoolon ki tarah chaak Girebaan hote
Itni rangeen to meri aabla payi hoti

Main akela to na milta sar e bazaar e wafaa
TU na hota to mere saath Khudaai hoti

Comments