Hawa ban kar bikharne se usay kya farq parta hai
Mere jeene ya marne se usay kya farq parta hai
usay to apni khushion se zara fursat nahi milti
Mere gham ke ubharne se usay kya farq parta hai
Wasi us shakhs ki yadon mai tum rote raho lakin
Tumhare aisa karne se usay kya farq parta hai
Comments
Post a Comment