Har Khaar gawaaraa karte hain har phool ko wara karte hain

Har Khaar gawaaraa karte hain har phool ko wara karte hain
Tab mera nasheman ahl e chaman gulshan mein gawaaraa karte hain

Aankhon mein chhupa ik manzar hai ham is ke pas e manzar mein sadaa
Soorat mein Ghazal ki jaan e jahaan tasweer utaaraa karte hain

Weeraan huwy jab maiKhaane toote bikhre jab paimaane
Maghroor ye saaqi la haasil rindon ko pukaaraa karte hain

Ye meri fawaa ye mera junoon jis se hai chaman mein rango boo
Zulfon ko teri jo Husn mila ham hi to sanwaaraa karte hain

Tum se to hamaare yaari thi tum shikwa ba lab kiyon ho bethe
Do chaar qadam to dushman bhi takleef gawaaraa karte hain

Jo bahar e mahabbat mein Doobe Gham ki moti un haath lagi
Mayoos wo laute saahil per jo Hosle haraa karte hain

Ye koh ye waadi ye jharnaa ye chaand sitaare neel gagan
Phir tanhaai hum ko Ghazal kehne pe ubhaara karte hain

Comments