Haqeeqat kar gaya zahir Sitamgar youn juda ho kar

Haqeeqat kar gaya zahir Sitamgar youn juda ho kar
Ke pathar ka sanam tha jo k milta tha khuda ho kar

Gham e doran gham e yaran gham e janan gham e hijran
Ajab ik lutf paya hai ghamon se aashna ho kar

Bhanwar main chor kar mujh ko chala kyun janibe sahil
Safina dobne tak to wo rukta Na khuda ho kar

Mujhe dhutkar na zalim to Chokhat par to rehne de
Khara hun deed ki khatir fakeer e be nawa ho kar

Comments

Post a Comment