Asar E Ishq Se Niklay Jo Tumhare Aanso

Asar E Ishq Se Niklay Jo Tumhare Aanso
Daman E Jaan Mein Wo Le Liye Sare Aanso

Jalwah E Husan Se Rangeen Hain Aankhein Un Ki
Surkh Nikaly Hain Usi Rang K Mere Aanso

Daikh Kar Ghair Ki Mehfil Main Unhein Masat E Sharab
Na Hua Zabat Nikal Aaye Hamare Aansoo

Aalam E Husan Main Hain Noor Ki Nehrein Jari
Ya Rawan Aarz E Janaan K Kinare Aanso

Girya E Shoq Se Tar Hain Jo Tumhari Aankhein
Ban Gaye Hain Falk E Husan K Tare Aanso

Ho K Aagah E Gham E Ishq Mairi Halat Par
Ab To Bhar Laye Hain Wo Shokh Bhi Bare Aanso

Hai Mohabbat Se Sarowkar Hamein Bhi HASRAT
Chasham E Janaan Mein Ye Karte Hain Ishare Aansoo

Poet: Hasrat Mohani

Comments