Ab is shoQ se ke jaan se Guzar jana chahiye

Ab is shoQ se ke jaan se Guzar jana chahiye
BoL Ay hawa e sheher kidhar jana chahiye

Kab tak isi ko Aakhri manziL kahen gay hum
Koo e Muraad se bhi udhar jana chahiye

Woh waQt aa gaya hai ke saahiL ko chorr kar
GehrAy samandron mein utar jana chahiye

Ab Raftagaan ki baat nahi kaarvaan ki hai
Jiss simt bhi ho Gard e safar jaana chahiye

Ya apni khawhishon ko MuQaddas na jaantay
Ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye

Comments