Aao Husn E Yar Ki Batain karain

Aao Husn E Yar Ki Batain Karain
Zulf Ki Rukhsar Ki Batain Karain

Zulf Ambar Bar K Qisse Sunain
Tura Tarar Ki Batain Karain

Phool Barsain Basat Aish Par
Roz Wasl E Yar Ki Batain Karain

Naqad E Jaan Le Kar Chalein Us Bazam Me
Misar K Bazar Ki Batain Karain

Un Ko Kooche Mein Jo Guzri Hai Kahein
Saya E Deewar Ki Batain Karain
Aakhri Saat Shab E Rukhsat Ki Hai
Aao Ab To Pyar Ki Batain Karain

Aao Husn E Yar Ki Batain karain Aao Husn E Yar Ki Batain karain Reviewed by Murad Khan on December 11, 2015 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.